Mothers Day Greetings Pics
Mujhe apni aagosh main shifqat dedo
Mere mathe par lab-e-mohabbat rakh do
Mujhe methi lori suna kar
Mere sare gham mita kar
Apne sene ki thandak main chupalo
Ae maa _ _ _
Muddat hoi main roya nahi houn
Kai ratain kat gaein main soya nahi houn
Mujhe apni aagosh main shifqat dedo
Mere mathe par lab-e-mohabbat rakh do
Mujhe methi lori suna kar
Mere sare gham mita kar
Apne sene ki thandak main chupalo
Ae maa _ _ _
Muddat hoi main roya nahi houn
Kai ratain kat gaein main soya nahi houn
Buhat Yaad Aati Hai Maan Poetry For Mother - Poetry
zindigani ke safar main gardishon ki dhoop mein
jab koi saya nahin milta tab boht yaad aati hai MAAN
pyar kehte hain kisse aur maamta kya cheez hai
koi un bachon se pooche jinki mar jati hai MAAN
safa-e-hasti pe likhti hia asool-e-zindagi
isiliye to maqsad-e-islam kehlati hai MAAN
jab koi pardes jata hai aye noor-e-nazar
Quran leke sar pe aajati hai MAAN
leke zamanat mein raza-e-pak ki
peechey peechey sar jhukaye door tak jati hia MAAN
kaampti awaz main kehti hai beta alvida
samne jab tak rahe hathon ko lehraati hai MAAN
jab parseshani mein phass jate hain hum pardes main
aansuuyon ko pochne khawbon main chali aati hai MAAN
marte dam tak aasaka na bacha ghar pardes se
apni sari duyayain chokhat pe chor jati hia MAAN
Meri zindagi mari khushi meri chahat he meri maa
Meri mohabbat mera ishq meri dewangi he meri maa
Mere dukho main hoti hain jis ki aankein aashbar
Meri zindagi ka hasil he meri maa
Meri khushyoun ki mere dukh sukh ki sathi
Wo piyari si hasti he meri maa
Meri kamyabioun meri manziloun ki talab
Har pal duain mangti he zaid jo mere waste meri maa
Jise main husun kehta houn wo meri maa ka chera he
Jise main ishq kehta houn wo meri maa ki aankhain hain
Jis ka har lafz mujhe lagta he quran jesa _ zaid
Jise main roz sunta houn wo meri maa ki batain hain
No comments:
Post a Comment